Har 1 jajbat aaj chot khaye baiha hai.
mera dil jane kitne gam chupaye baitha hai.
jiski yaado me bitaya tha har ek pal mene.
aaj dekho wo hi mujhko bhulaye baitha hai…..
Dost ki yad se badi koi dolot nahin hoti,
Sath rehna hi dost ki jarurat nahin hoti.
Duriyan kardeti ha yado ko jinda,
Warna yadon ki koi kimat nahin hoti.
Submitted By: Pradyumna
Hakikat mahobbat ki judai hoti hai,
Kabhi kabhi pyar men bewafai hoti hai,
Hamare taraf hath badakar to dekho,
Pata chalega ki dosti men kitani sacchai hoti hai.
Vishwas karna hum dosti apni nibhayenge,
Agar khuda bhi bulayega to kahe denge,
Dost agar ijazat dega to hi aayenge.
Dosti ek nagama hai jise gungunata hun mai,
Dosti wo rishta hai jise nibhata hun mai,
Akele jindagi kat nahi sakti hai,
Isiliye aap jaise pyare dost ko banata hun mai.
Sitaron ke bagair asman men kya rakha hai,
Bin tere jeene men rakha kya hai?
Lagta hai sub kuch adhura sa,
Dosti ke bagair duniya men rakha kya hai?
Duniya ki lahar hai dosti,
Dalti sham ka khula aasman hai dosti,
Jinko samajh me aa jaye to vah malamal,
Varna bina iske bilkul kangal hai dosti.
Wo jo mere dard ko apna dard kahta haiHans k zakhm jo mere apni jaa’n pe sahta haiAjnabi hua hai tu kitne dard degayaNind khwab legaya ..aah-e-sard degaya
Jubse usko paaya tha dard main kami thi kuchAnkh num tu thi lekin thori kum nami thi kuchMeri zaat ke sub ghum usko apne lagte thayUske lahje ke mosam jese sapne lagte thay
Shaam hote hi meri yaad ke daricho’n mainDard ki tapish uski sath sath ati thiOr us se milte hi phir se laut jati thiIs guma’n pe ke shayad ab nahi hun main tanha
Sath hai kisi ka ab mere safar main pinha …Par hamari qisamt main DARD hi mashiyat haiDard hi ta’assur hai .. dard hi waseeyat haiDard orhna apna..dard hi bichona hai
Dard hi pe hansna hai… dard hi pe rona hai ..!!bheeg jayen jab ankhain phir unhain chupana haiDard sahtay rahna hai …. OR ISI DARD K GALAY LAG K
AIK DIN MAR JANA HAI…!!!!
Rutho na a dost k fir!
roth jany waly maan b jaien tu
manany waly thak sy jaty hyn
aur hamary sath zindagi k saffer mien
chalny k qabil nahi rehty
khafa na ho a sathi k fir!
khafgion k mosum dyr tak nahi telty
dil-o-jaan mien,ruh k ander bohat hi
bohat hi door ja ker basyra kerty hyn
naraz na ho a hamdam k fir!
narazgi kadurraton ko janm dyti hy
kadurratien dil ki fir nahi jatien
aur!
zindagi ki shaffaf rahien dhundli-o-gurd aalood ho jati hyn
so myry dost ,myry sathi,myry hamdam!
mujhy aatbar ka maan do!Zindagi mein baatein bahut kar liye…
Sun liye hai zawab bhi…kabhi Dosto se, Kabhi Dushmano se,
Lavso ke is bhir mein ghutan si hoti hai ab to….
Mujhe sannata chahiye….. …
Isliye Khamoshi se Dosti kar liye…..
Baaton ki tanashahi bardasht karne ki taaqat na rahi……..
Viraane mein sar chupane ki jagah chahiye….. ….
Alfaazon ki koi matlab hi nahi milta……. .
Isliye Khamoshi se Dosti kar liye…..
Rahegi tamannaye, tamannaye to rahti hai…….
Par halaat yeh hai ki ab saare Hosh’o'Hawas kho chuke……. .
Is Bedardi ko kab tak jhel sakti hai yeh Dil’o'Dimaag……
Armaano se tang aa chuke hai hum bhi……
Isliye Khamoshi se Dosti kar liye…..
Musquraahaton se roshan hoti rahegi yeh Duniya…… ..
Mujhe roshniyon se dar lagne laga hai……
Mujhe Andhera Chahiye…..
Isliye Khamoshi se Dosti kar liye…..
0 comments:
Post a Comment