Girl : (Emotionaly)
Darte hain agg say kahin jal na jayen..
Darte hain Khwab say Kahin Toot Na jayen..
Lakin Sub Say Ziada Darty hain Es baat say…
Kay App Hamain Kahin Bhool Na jaye..
Boy :
Yeh mat sochna ki hum bhool jayenge tumhe…
Door rehkar bhi hamesha chahenge tumhe…
Agar Dost bankar raas na aaye to…..
Bhoot bankar darayenge tumhee…
Khuda Karay K Tum Ko Judai Na Milay
Kabhi Bhi Tanhai Na Milay
Mujhay Sms Na Karo To Kuch Aisa Ho
K Mosam Ho Sardi Ka Or Tum Ko Razai Na Milay
Unki gali se jab mera janazza nikla
Wo na nikle jinke liye mera janaja nikla
Unka ghar aaya toh mujhe bhul kar
Mere dost seeti bajane lage
Rakh kar mera janaza kambakth use
Subscribe to HindiSMS.Org
Jija Saali SMS
Saali to Jija:
kya kr rhy ho?
Jija:
Makhiyan mar rha hon
Saali:
kitni mari?
Jija:
3 male or 2 female
Saali:
Kse malom?
Jija:
3 shrab ki botle se chipki hui thi or 2 phone se
Joota chupai ki rasm k waqt dulhay ki aik sali ne kaha:
main to 1100 loongi.
2nd sali boli mai to 2100 loongi.
peche se 1 pathan bola: 2310 lelo, us main FM Bhi hai.
Jija: saali ji, ap k yahan ki sab se famous cheez kaunsi he?
Saali: jija ji, jo famous thi, use to ap legae.
Subscribe to HindiSMS.Org
Khamosh se tum rahane lage ho,
Intzaar kisi ka karne lage ho,
Yakeenan kisi se hui hai mohabbat,
Bina baat hi muskaraane lage ho.
Zindagi mohtaaz nahi manzilon ki,
Vakt har manzil dikha deta hai,
Marta nahi koi kisi se juda hoke,
Vakt sabko jeena sikha deta hai.
Apni zindagi se kuch pal de de mujhe,
Aaj na sahi too apna kal de de mujhe,
Khushi de ya na de marzee teri,
Apna dukh aur dard tu chal de de mujhe.
Zaruri nahi dosti me mulakaat hoti rahe,
Zaruri nahi ki baat hoti rahe,
Par jo zaruri hai vo bas yahi,
Ki dost ko meri dosti yaad aati rahe.
Kaash samajhte vo is dil ki tadap ko,
To yu na hame roosva kiya hota…
Aapki yah berookhi bhi manjoor thi hame,
Bas ek baar hame samajh liya hota.
Hausle dil me jab machalte hai,
Kuch naye raaste nikalte hai…
Dost ban gaye aap jabse,
Gam dur khade haath malte hai.
Jab se mile hai tumse ham,
Saare gam bhula diye hamne,
Khushiya thi na naseeb me hamaare,
Phir bhi jeena sikha diya tumne.
Jinki mohabbat sachi hoti hai,
Vo kab fariyaad karte hai,
Labon se to kuch nahi kahte,
Magar dilon se pyaar karte hai.
Ek zara-si bhool khata ban gai,
Meri vafa hi meri saza ban gai,
Dil liya aur khelkar tod diya,
Hamaare aansu nikle,
Aur ye unke hothon ki muskaan ban gai.
E dost teri dosti ke liye duniya Chod denge,
Ham teri taraf aaye har toofan ko mod denge,
Lekin tune jo saath Choda,
Kasam se teri haddiya tod denge.
Yun to kisika peecha nahin karte,
Dard-e-dil diya aur liya nahin karte,
Ittefaq ki baat hai ye hamari dosti varna,
Itna kimti SMS kisi ko kiya nahin karte.
Khushiyon par fizaon ka pehra hai,
Na jane kis umeed pe dil thehra hai,
Teri ankhon se jhalakte dard ki kasam,
Yeh dosti ka rishta pyar se gehra hai..
Raatein gumnam hoti hai,
Din kisike naam hota hai,
Hum zindagi kuch is tarah jite hai,
Ki har lamha sirf doston ke hi naam hota hai.
Zindagi me Jab Maayus hue Hum
To Socha k kya paaya kya khoya
Khone ka to hisaab na laga paaye
Yaad raha to bas itna ke
Zindagi se bhi pyara..
Aap jaisa Ek dost Paaya
Main ne jina chahta tha, Uski khamoshi ne Marna sikha diya…
sab kuch karna dost is duniya me, byas dil na lagana, Dil jalta hai, dil ka daag kayse dikhau tumhe, byaas RAB SE DUA KARO KI IS ZINDEGI KO HI BHUL JAUN.
- Pallabi
Dekhe hue kisi ko bahot din guzar gae, is dil ki bebasi ko bahot din guzar gae, muddat hui k tut k roya nahi hu main, is chain ki ghadi ko bahot din guzar gae !!
- Akmal Razvi
har saans se tera izhar kia kar te hai har khawab me tera dedar kia kar te hai dewane hai hum teri dosti ke jo har waqt aap ke sms ka intezaar kia kar te hai
- Aziz ahmed
Amerikan-”Hamare amerika me `war’ ho gaya hai.”
Santa- “hamare India me to roz hi `war’ hota hai.”
Amerikan-”vo kaise?”
Santa-”somvaar, mangalvaar, budhvaar..!! !”
Na jaane kyo abhi ek aansu aankh se jhalka,
Dil ko shayad tumhari yaad aayi,
Chahat hai itni tumse milne ki,
Haste hue bhi aankh bhar aayi…
Mulk ki bhi ek sarhad hoti hai,
Bachne ki bhi ek jid hoti hai,
Aur kitna intzaar karu tere SMS ka,
Are yaar kanjusi ki bhi ek had hoti hai…
Kachi deewaar hu thokar na lagana mujhko,
Apni najaro me basakar na girana mujhko,
Tumko aakhon me tasveer ki tarah rakhta hu,
Dil ki dhadkan ki tarah tum bhi basana mujhko.
Sham hote hi yah dil udaas hota hai,
Tute khwabon ke siva kuch na paas hota hai,
Aapki yaad aise vakt bahut aati hai,
Jab bandar koi aas-paas hota hai.
Sabse acha uphaar…zindagi,
Sabse acha ehsaas…khushi,
Sabse acha feeling…pyaar,
Sabse acha sambandh…dosti,
Sabse acha insaan…hum,
Sabse acha dost…tum.
Dosti dil hai dimaag nahi,
Dosti soch hai, awaaz nahi,
Koi aakhon se nahi dekh sakta dosti ke jazbe ko,
Kyonki dosti ehsaas hai, andaaz nahi.
Kitne haseen hai aap, khud ko duniya
Ki nazaro se bachaya karo…
Aakhon me chashma lagana kaafi nahi,
Gale me nimbu-mirchi bhi latkaya karo.
Nishana jo le vo `shoorveer’,
Nishane pe jo lag jaaye vo `teer’,
Dil me jo utar jaaye vo `tasveer’,
Mere jaise dost ka saath mil jaaye,
Vo `achi takdeer’.
Hum to yu hi bekhudi me kah baithe,
Ki hame koi yaad nahi karta…
Jiska ho tere jaisa dost,
Vo kabhi khuda se bhi phariyaad nahi karta.
Gamjada subah meri udaas shaam hai,
Kya pyaar mere doston isi ka naam hai,
Dil sukoon ko rooh raahat ko tarasti hai,
Ye mod kaun-sa hai jisme meri jaan har mukaam par roti hai.
Intha ho gai…intazaar ki,
Aaya na SMS mere yaar ka,
Ye mujhe tha yakeen…kanjus vo nahi…
Phir vajah kya hui? intzaar ki…??
Armaan to bahut hote hai is dil ke,
Par vo armaan poore nahi ho paate,
Jinhe chahte hai ham khud se bhi zyada,
Vo hi aksar armaano ko khaak kar jaate hai.
Na saathi hai koi, na hamsafar hai koi,
Na ham kisi ke, na hamaara koi,
Par aapko dekhkar kah sakte hai ki,
Pyara-sa dost hamara bhi hai koi.
Aapki dosti ka ek nazar chaahiye,
Dil hai beghar use ek ghar chaahiye,
Bas yu hi saath chalte raho ai dost,
Ye dosti hame umra bhar chaahiye.
-Neha Shah
Sardar english k paper main fail ho gaya,
He did translation:
1.Main aam admi nahi hon
I m not a mango man
2.Sarda or garma fruit hain.
Colda & hota r fruits
3.Mujhey bhi english ati hay
English comes 2 me also
4.do ro do chaar.
give and give four.
5.Mera taluk hari pur hazara se hay
I belong 2 green pur thousanda:)
Aaj aaye hai dosto ki yaad ………..
Lekin dost abhi hamse dur hai………
Ye dost ab aa ja……….aur ab doori na bana……….
Aisa lagta ki koi dur sa chala gaya…..
Ab na intzar kara ye dost ab to aaja……….
Bahut akela hu ……dosto ki doori se………..
Ye dost ab to aa jaa,itna bhi intzaar na kara………….
Ab to aa jaa dost………. Ab to aa jaa dost……… Ab to aa jaa dost………
-Sanjay
Tumhara-hamara rishta to aakhon aur palkon jaisa hai,
Agar palak kuch der na jhapke to aankh ro deti hai…
Aur agar aakhon me kuch chala jaaye to palke tadap uthati hai.
Takdeer ne chaha, takdeer ne bataya,
Takdeer ne tumko aur hamko milaya,
Khushnaseeb the ham ya vo pal,
Jab tum-sa anmol dost is zindagi me aaya.
Jamaane jugar gaye haatho ko milaye huye,
Muddat ho gayi najaro ko milaaye huye,
Din-raat nikal gaye yaado me khoye huye,
Saamne kab aaoge yaar muskuraate huye.
Yu dur rahkar dooriyo ko badaya nahi karte,
Apne deewane ko sataya nahi karte,
Har vakt bas jise tumhara khyaal ho,
Use apani aawaaz ke liye tadpaya nahi karte.
Roop ka aakarshan pyaar nahi hota,
Manchaha sapna sakaar nahi hota,
Har kisi pe na mar-mitna,
Har kisi ke dil me sacha pyaar nahi hota.
Aapke haath me mobiIe hai…
Chehre pe khoob smiIe hai…
SMS ki achi khasi file hai…
Phir bhi SMS nahi karate…
Yaar, ye kaun-sa stupid styIe hai?
Tumko dekha to ek khyaal aaya,
Tumko dekha to ek khyaal aaya,
Tumhari saheli ko dekha to
Doosra khyaal aaya!!
Tum-sa koi doosra is zameen par hua to rab
Se shikayat hogi, ek ko to jhel hi raha tha,
Doosra aa gaya to kya haalat hogi.
Vo gori hai uski zulfe hai kaali,
Vo pari hai ya pariyon ki raani,
Uski har baat hai niraali,
Par kya karu yaaron
Vo ladaki kisi aur ne pata li.
Dono aakhon me aasu raha karte hai,
Ham apni kuch yaaden tere naam karte hai,
Jab kabhi bhi palke jhapke tumhaari,
Samajh lena ham tumhe yaad karte hai.
Mere dil, jigar, kidney, lever ho tum,
Vakt-bevakt aaye vo fever ho tum,
Doobkar jisme mar jaau vo river ho tum,
Mere jeevan me ab to forever ho tum.
Naraaj hona aapse galti kahalaayegi,
Aagar aap hamse naraaj ho to ye saase tham jaayegi,
Haste rahana hamesha tu hi,
Aapki hasi se kisi ki zindagi me bahaar aayegi.
Dosti se badi zaageer nahi,
Isse achi koi tasveer nahi,
Ek naajuk prem ka dhaga hai,
Phir bhi isse pakke janjeer nahi.
Chaand ko to taaron ka saath hai,
Hame bhi kisi sahaare ki aas hai,
Palke bichaye baithe hai ham tere intzaar me,
Tumhaare laut aane ki abhi bhi hame aas hai.
Haatho se gir gai lakeere kahi,
Bhool aaye ham apni takdeer kahi,
Agar tumko mile kahi to utha lena,
Mere hisse ki har khushi apne haatho me saja lena…
-Neha Shah
Jaan hai mujhko zindagi se pyaari,
Jaan ke liye kar doon kurbaan yaari,
Jaan ke liye todd doon dosti tumhaari,
Ab tumse kya chhupaana,
Tum hi toh ho jaan hamaari !
Tumse doori ka ehsaas sataane lagaa,
Tere saath guzaraa har lamha yaad aane laga,
Jab bhi tujhe bhoolne ki koshish ki aye dost,
Tu dil ke aur bhi kareeb aane laga !
Zindagi nahin humein doston se pyaari,
Doston pe haazir hai jaan hamaari,
Aankhon mein hamaari aansoon hai toh kya,
Jaan se bhi pyaari hai muskaan tumhaari !
Jasbaate ishq naakaam naa hone denge,
Dil ki duniya mein kabhi shaam naa hone denge,
Dosti ka har ilzaam apne sar par le lenge,
Par dost hum tumhe badnaam na hone denge !
Tere dil ki har baat jaanta hoon mein,
Tere dil ki har dharkan ko pehachaanta hoon mein,
Jab se basa hai tera dil mujh mein,
Tere aane ke aahat ko bhi pehachanta hoon mein.
Tanhai ka ye alam hai,
K rone ko dil karta hai;
Ro kar thak jate hai to,
Marne ko dil karta hai;
Lekin mare bhi to kaise,
Kisike liye jine ko dil karta hai…
HAR AHAT EHSAS HAMARA DILAYEGE,
HAR HAWA KISSA HAMARA SUNAYEGI,
HUM ITNI YADEEN BHAR DENGE,
NA CHATE HUA BHI APKO YAAD HAMARE AYEGI..
Haste rahen aap hazaron ke beech mein,
Jaise haste hein phool baharon ke beech mein,
Roshan ho aap duniya mein iss tarah,
Jaise hota hai chand sitaron ke beech mein.
Na to yaado ko yaad rakhte hai
Na hi sapno ko saath rakhte hai
Hum to buss unko yaad rakte hai
Jo hamein dil ke pass rakhte hai.
Ishq Ne Insan Ko Kya Se Kya Bana Diya ,
Kisiko Kavi To Kisiko Kangal Bana Diya,
Do Fulo Ka Boj Na Uthane Vaali Mumtaj
Ki Yaad Main Shahjaha Ne Taaj Mahel Bana Diya.
Ye aaine se akele main guftagu kya hai
jo main nahin to phir ye tere rubaru kya hai
isi umeed pe kaati hai zindagi main ne
woh kaash puchte mujh se ke aarzoo kya hai.
Haste rahen aap hazaron ke beech mein,
Jaise haste hein phool baharon ke beech mein,
Roshan ho aap duniya mein iss tarah,
Jaise hota hai chand sitaron ke beech mein.
Na to yaado ko yaad rakhte hai
Na hi sapno ko saath rakhte hai
Hum to buss unko yaad rakte hai
Jo hamein dil ke pass rakhte hai.
Ishq Ne Insan Ko Kya Se Kya Bana Diya ,
Kisiko Kavi To Kisiko Kangal Bana Diya,
Do Fulo Ka Boj Na Uthane Vaali Mumtaj
Ki Yaad Main Shahjaha Ne Taaj Mahel Bana Diya.
Ye aaine se akele main guftagu kya hai
jo main nahin to phir ye tere rubaru kya hai
isi umeed pe kaati hai zindagi main ne
woh kaash puchte mujh se ke aarzoo kya hai.
-Vikas
Bikhre hue jazbaat hein Toote hue khwaab hein
Ye jazbaat meri daulat hai Yeh khwaab meri saughaat hai
Lamha lamha behlaati rahi Teri yaad is dil ko
Is liye shaayad aaj bhi Log Kehte hein “Hum Zinda hein”
A bhai! Itna sannata kyon hai?
Kitne der se sms ki ghanti nahi baji.
Yeh sare network fuse hogaye
Ya mere dost hi kanjus hogaye
***********************
Sometimes, I forget to say hi,
Sometimes, I even miss to reply,
Sometimes, my msg doesn’t reach u,
But, it doesn’t mean that I forget u,
I’m just giving u time to miss me!
***********************
Apni Surat ka kabhi to didaar de
Tadap raha hu kabhi to apna pyaar de
Apni awaaz nahi sunani to mat suna
Kam se kam 1 Missed call hee maar de
***********************
Us Pyari si surat ka phir ek bar didar de,
Tadap rahe hain hum yahan, ab aur na intazar de,
Awaz mat suna, ae zalim magar,
Ek kam se kam ek MISSED call to mar de…
0 comments:
Post a Comment