Hate Shayri

Yahan Se Chhutkara


Rab hume de do is jahannum se chhutkara
Hum kahi bhi reh lenge ban ke awara
Ye dil toh ban gaya hai jaise bechara
Kyuki yahan ab nahi hoga apna gujara



DEEWAR NAFRAT KI
Hazaron baar diya dhoka tumne hum sab ko
Khadi diwar nafrat ki mitaye to bhala kaise
Kiya hai waar tu usko jo apna samajhta tha
Laga di aag mere ghar me bujhaye to bhala kaise
Teri har berukhi ko nazar andaz kiya hum ne
Diya jo zakhm is dil par dikhaye to bhala kaise
Teri kaayeri ka bayan kab tak karega Noor
Teri har galati ko yun hi bhulaye to bhala kaise
Hazaron baar diya dhoka tumne hum sab ko
Khadi diwar nafrat ki mitaye to bhala kaise


Khone Se Darte Hain


Tanhayion se nahin hum mehfil se darte hain
duniya se nahin hum khud se darte hain
yun to bahut kuchh khoya hai humne
na jaane kyun tumhe khone se darte hain



Kahan Hai Tu


Mana tu mere saath nahi
par tere hone ka ehsas kam bhi nahi hai
Tu ayegi ye aitbar hai mera
na aaye to koi gum bhi nahi hai
Teri talaash me nikle hai garm jajbat mere
dard to hai par jism pe jakhm bhi nahi hai
Roj tanhai me chand se guftgu hoti thi
aaj bhi chand hai goya hum hi nahi hai


Lazzat E Ashq, Teri Ankhen

Lazzat e ashq ka maja puch mujhse
mere mehboob ko tadpane me maja aata hai
Teri nazro ko mujhse koi shikayat hai shayad
bin badal barsat mere ghar bhi nahi hoti
Hum to bas yunhi shayar ban baithe
suna hai unko bhi shauk hai gungunane ka
Apni adao se vo to bekhabar hai
Hume to aadat hai adao ko harf pehnane ka
Hume rehjano ne nahi rehbaro ne luta hai,
varna hum bhi manjil ke kafi kareeb the.


Bujh Ke Rakh Nahi Hote

Manzil Se Koso Door Sahi,
Purdard Sahi Ranjore Sahi,
Zakhmon Se Musafir Chur Sahi,
Par Kisse Kahein Aye Jaan-E-Wafa,
Kuch Aise Ghaav Bhi Hote Hai Jinhe Zakhmi Aap Nahi Dhote,
Bin Roye Aansu Ki Tarah Seene Mein Chhupa Kar Rakhte Hai,
Aur Saari Umar Nahi Rote,
Neendein Bhi Mouhaiya Hoti Hai Sapne Bhi Door Nahi Hote,
Kyon Phir Bhi Jagte Rehte Hai Kyon Sari Raat Nahi Sote,
Ab Kisse Kahein Aye Jaan-E-Wafa,
Ye Ahl-E-Wafa,
Kis Aag Mein Jalte Rehte Hai Kyon Bujh Kar Rakh Nahi Hote.


Pyaar Ka Saya


Bichhad Kar Humse Kabhi Wo Bhi Tadpa To Hoga
Chand Lamhe Hi Sahi Wo Bhi Roya To Hoga
Beenayi Chashm Ki Kho Gayi Teer Reh Kar
Uske Naino Ko Bhi AshQone Bhigoya To Hoga
Dilke Rishte Bhi Kis Kadar Ajeeb Hote Hai
Tujhko Bhi Sanam Kisi Rishte Ne Thukraya To Hoga
Lab Khamosh Honge Kismat Mein Tanhayi Hogi
Tab Hi Wo Mere Pyaar Mein Dooba To Hoga
Tere Naseeb Mein Hai Aakhri Saans Jab Tak
Jahan Bhi Jaoge Wahan Pyaar Ka Saaya To Hoga


Main Tujhe Bhula Dungi

main dil par jabr karungi tujhe bhula dungi
marungi khud bhi tujhe bhi kadi saza dungi
yeh teergi mere ghar ka hi kyun muqaddar ho
main tere sheher ke sare diye bujha dungi
hawa ka haath bataungi har tabahi mein
hare shajar se parindein main khud udda dungi
wafa karungi kisi sogwaar chehre se
purani qabr par qutba naya saja dungi
isi khayal mein guzri hai sham-e-dard aksar
ke dard hadd se badhega tou muskura dungi
tu asmaan ki surat hai gir padega kabhi
zameen hoon main bhi magar tujhko asraa dungi
badha rahi hai mere dukh nishaniyan teri
main tere khat teri tasweer tak jala dungi
bahut dino se mera dil udaas hai
is aayine ko koi aks ab naya dungi


Kabhi Khamoshi Bhi Bahut Kuch Keh Jati Hai


Kabhi Khamoshi Bhi Bahut Kuch Keh Jati Hai
Tadap Ne Ke Liye Sirf Yadein Reh Jati Hai
Kya Fark Padta Hai Dil ho Ya Koyla
Jalne Ke baad To Sirf Rakh Reh Jati Hai


Dharti Ka Gum Chupane Ke Liye

Dharti ka gum chhupane ke liye gagan hota hai
Dil ka gum chhupane ke liye badan hota hai
Mar ke bhi chhupane honge gum shaayad
Isliye har laash pe kafan hota hai

0 comments: