Sharab-E-Shayari

Ibarat chapii thii mehkhane par,har shkhsiyat thi wahaan behkane parr
maine sharab nahi pee laakh manane par,kambakt teraa naam tak chapa tha paimane parr

Sharab - E - Shayari submitted by : - pratham


Rakh le 2-4 botal kafan mein,saath baith kar piya karenge,
jab mange ga hisab gunahon ka,ek peg usse bhi de diya karenge


Hum To Jee Rahe The Unka Naam Lekar,wo Guzarte The Hamara Salaam Lekar,kal Woh Keh Gaye Bhula Do Humko,humne Puucha Kaise!!!!wo Chale Gaye Haatho Mai Jaam Dekar

Sharab - E - Shayari submitted by : - pratham


Chalikaaye jaa Aankhon Se Sharaab Aur Ziada,Allah Kare Badhe Tera
Shabaab Aur Ziada,Khilte rahe honthon ke,Gulaab Aur Ziada


Log peete hai sharab mehkhane ja ja kar pee hai,jo do pal mein utar jayegi,
humne to pee hai apne mehboob ki aankho se,jo umar bhar naa utar payegi


Saqii Bus To Itna Sa Kaam-kar,
Ye Sare Ilzaam Mere Naam-kar
1-2 Paimane Se Mera Kya Hoga,
Sara Maikhana Mere Naam-kar

Sharab - E - Shayari submitted by : - pratham


Tapak rahi hai sharaab ki bondein paani ki tarahdil bhar gaya hai mera dard ke samandar ki tarahchaah kar bhi nahi bhula pate tujhe humteri yaadon ke sahare ruk nahi sakte peene se hum


Aye sharabi tu peeta jaa,Tere paimaane main aaj dariya hai,asar tere nashe ka dekhenge hum,Tere peene ka aaj nazariya hai,tujh pe yeh ilzaam hai hoosh walon se,Ki tu

Sharab - E - Shayari submitted by : - sujal


be-khabar madhosh dewaana hai,aa sharabi pee ke sach bole ja,tere haathon main aaj maikhana hai


Nasha-e-nazro ki shokhiyan jab chalti hai,Kya halat hoti hai dil ki,
Kar lo nashaa-e-muhabbat,kya zaroorat hai sharab-e-jaam peene ki


Chlalka teri aankho se sharab aur zayaada,
pee lene de nazuk hontho se sharab aur zayaada
pee lene de sharab teri aankho ke naam -hotho ke naam
Chalkaaye jaaaaa


Bahut peete the hum
mahobbat ne kasam dilaake chhudaadi
Bahut peete the hum
usne kasam dilaake chhudaadi
Yaaron ke sang baitthe the
mahobb at ki kasam dilaake pilaadi

Sharab - E - Shayari submitted by : - pratham


Raat gumsum hai magar chan khamosh nahi,
Kaise keh du aaj fir hosh nahi
Aisa duba teri aakho ki gehrai main,
Haath mein jam hai magar pine ka hosh nahi----Pratham


Thukra ke us ne mujko kaha ki MUSKURAO
maine hans diya, Aakhir sawal uski khushi ka tha
Maine khoya woh jo mera tha hi nahi usne khoya wo jo sirf usi ka tha


Rukh Badalat hai zamane ka har zamane mein
Phir bhi milta hai naame-mohabbat har bahane mein !
Shaamil gar naa ho yeh duniye phir bhi hum jiyennge
Dard woh pyara hai hota hai jo ishq chipane mein


Maikhane saje the,Jam ka tha daur,
Jam me kya tha ye kisne kiya tha gaur,
Jam me gum tha mere armano ka,
Aur sab kahe rahe the ek Aur, ek Aur


"Devdas" ko "paaro" ne nakam kar diya,"sharabi" ko "sharab" ne badnam kar diya,"mahobbat" ho ya "sharab", dono ka asar dekh lo,"Devdas" aur "sharabi" ka, eksa "anjaam" kar diya


Sharab pee liya karte hai jinae ki tamanna main kabi,
dagmagana bhi zaroori hai sambhalnae ke liye


Khuda ne sharaab jo banai peene ke liye,to piya kyun na jaye,duniya banai jeene ke liye, to jiya kyun na jaye,mahobbat ne diya mauka, shayari karne ka
To phir shayari kari kyun na jaye

0 comments: